Thursday, July 18, 2013

YEH JAWANI HAI DEEWANI.. Music by Pritam Chakraborthy..



BALAM PICHKARI.. Sung by Shalmali Kholgade, Vishal Dadlani.. Lyrics by Amitabh Bhattacharya..

Itna maza kyoon aa raha hai
Toone hawa mein bhaang milaaya
Dugna nasha kyoon ho raha hai
Aankhon se meetha toone khilaya

O teri malmal ki kurti gulabi ho gayi
Manchali chaal kaise nawabi ho gayi

To Balam Pichkaari joh toone mujhe maari
To seedhi saadhi chhori sharaabi ho gayi
Haan jeans pehan ke jo toone mara thumka
To lattu padosan ki bhabhi ho gayi

Teri kalai hai, hatho mein aayi hai
Maine maroda to lagti malayi hai
Mehanga padega ye chaska malayi ka
Upwas karne mein teri bhalaayi hai
Ho bindiya teri mehtabi ho gayi
Dil ke armaanon mein behisabi ho gayi

Ae kyoon no vacancy ki hothon pe gaali hai
Jabki tere dil ka kamra to khali hai
Mujhko pata hai re, kya chahta hai tu
boli bhajan teri, neeyat kawwali hai
Zulmi ye hazir jawabi ho gayi
Tu to har taale ki aaj chabhi ho gayi


BADTAMEEZ DIL.. Sung by Benny Dayal, Shefali Alvares.. Lyrics by Amitabh Bhattacharya..

Badtameezi ek bimari hai, aisi bimari jo dheere dheere waqt ke sath budhape mein badal jati hai. Main kehta hoon jab tak budhapa nahi aata, thodi badtameezi hi kar lete hain.

Paan me pudeena dekhaa, naak ka nageena dekhaa
Chikni chameli dekhi, chiknaa kaminaa dekhaa
Chand ne cheater hoke cheat kiya
to sare tare bole, gilli gili akka

Meri baat teri baat
Zyada baatein buri baat..
Thali mein katora leke
Aalu-bhat, puri-bhat
Mere peechhe kisi ne repeat kiya to saala
Maine tere muh pe mara mukka

Ispe bhoot koi chadhaa hai, thaihrna jaane naa
Ab to Kyaa buraa kyaa bhalaa hai, Fark pehchane naa
Zid pakad ke khada hai kambakht, chhodna jane naa

Badtameez Dil, badtameez dil, badtameez dil maane naa..

Ye jahaal hai, sawaal hai, kamaal hai
Jaane naa, jaane naa

Badtameez dil badtameez dil, Badtameez dil..
Maane naa

Hawa mein hawana dekha
Dheemka falana dekha
Sing ka singada khake
Sher ka gurrana dekha
Poori duniya ka gol gol chakkar le ke
Maine duniya ko maara dhakka..

Bollywood Hollywood
Very very jolly good
Aee raai ke pahad pahad pe
Teen foota lilliput
Mere peechhe kisi ne repeat kiya to saala
Maine tere munh pe maara mukka

Ayyashi ke runway se khud ko
Modna jaane na
Kambal bewajah yeh sharam ka
Odhana jaane na
Zidd pakad ke khada hai kambakht
Chhodna jaane na..


KABIRA.. Sung by Rekha Bharadwaj, Tochi Raina.. Lyrics by Amitabh Bhattacharya..

Kaisi teri khudgarzi
Na dhoop chune na chhanv
Kaise teri khudgarzi
Kisi thor tike na panv

Ban liya apna paigambar
Tar liya sat samandar
Phir bhi sookha man ke andar
Kyoon rahega

Re Kabira maan ja
Re fakeera, maan ja
Aaja tujhko pukaarein
Teri parchhaiyaan
Re Kabira maan ja
Re fakeera, maan ja
Aisa tu hai mere mohi kaisa
Harjaaiyaa..

Tooti charpayi mohi
Thandi puravayi rasta dekhe
Doodhon ki malayi mohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe

Kaisi teri khudgarzi
Lab naam tera mera mishri
Kaisi teri khudgarzi
Tujhe preet purani bisri

Mast maula, mast kalander
Tu hawa ka ek bawandar
Bujh ke yoon andar hi andar
Kyoon reh gaya..


SUBHANALLAH.. Sung by Sreeram Chandra, Shilpa Rao.. Lyrics by Amitabh Bhattacharya..

Ek din kabhi jo khud ko tarashe
Meri nazar se tu zara
Haaye re
Aankhon se teri kya kya chhupa hai
Tujhko dikhaun main zara
Haaye re
Ek ankahi si daastaan daastan
Kehne lagega aaina
Subhanallah
Jo ho raha hai pehli dafa hai
Wallah, aisa hua

Meri khaamoshi se baatein chun lena
Unki dori se taareefein bun lena
Kal nahi thi jo aaj lagti hoon
Taareef meri hai khaamakhan
Tohfa hai tera mere ada

Ek din kabhi jo khud ko pukaare
Meri zubaan se tu zara
Haaye re
Tujhmein chhupi si jo shaayari hai
Tujhko sunaun main zara
Haaye re
Ye do dilo ka wasta wasta..
Khul ke bataya jaaye na

ILAHI.. Sung by Mohit Chauhan, Arijit Singh.. Lyrics by Amitabh Bhattacharya..

Shaamein malang si
Raatein surang si
Baagi udaan pe hi na jaane kyoon
Ilaahi mera jee aaye aaye

Kal pe sawaal hai
Jeena filhaal hai
Khanabadoshiyon pe hi jaane kyoon

Mera falsafa
Kandhe pe mera
Basta chala main jahan
Le chala mujhe rasta
Boondo pe nahin
Gehre samundar pe


GHAGRA.. Sung by Rekha Bharadwaj, Vishal Dadlani.. Lyrics by Amitabh Bhattacharya..

Ae saheban, kadardan, meharban
Ae dil thaam ke baithiye
Kyunki ab aapke saamne tashreef la rahi hain
Agra ki azeem fankara
Mallika e husn, noor e nazar
Mohtarma, mohini

Ladke, o re ladke
Kahan se aaya hai re tu
Pyaara hai re shakal se
Akal ka maara hai re tu

Haan jal gayi, Haan jal gayi
Meri baaton se tu jal gayi
Haan khal gayi, tujhe khal gayi
Meri beparwahi khal gayi
Mohtarma tu kis khet ki mooli
Hai zara bata

TV pe breaking news, hye re mera ghagra
Bagdad se leke Dilli via Agra

Ghagra ghagra tera ghagra ghagra tera
Ghagra Ghagra via Agra

Main hawa, to ud ja
Ghata, to mud ja
Kali, kahan ki
Ada, ata ki
Bada besharam hai tu to
Lakha hai bada
Ye kamar, chhupa le
Nazar, ghuma le
Pata, main poochhun
Umar, tu jaane
Dekho pairvi pe kaise atka hai pada

Haan dhal gayi, haan dhal gayi
Tu shaam ki tarah dhal gayi
Haan khal gayi, tujhe khal gayi
Meri beparwahi khal gayi
Mohtarma tu kis khet ki mooli
Hai zara bata

Bematlab ki Bematlab ki bakwas tera ghagra
Bagdad ho ya ho Delhi via Agra

Main nasha, utar ja
Khata, sudhar ja
Itar, main soonghoon
Ghazal, main gaun
Aese ban raha hai jaise koi to tu hai
Main maza, main chahoon
Saza, main kaatoon
Raza, main poochhoon
Jua, Ke kheloon
Hopeless hai tu phir bhi thodi hope hai

Haan tal gayi, haan tal gayi
Aafat ki tarah tal gayi
Haan khal gayi, tujhe khal gayi
Meri beparwahi tujhe khal gayi
Mohtarma tu kis khet ki mooli
Hai zara bata

Udti phirti afwah tera ghagra
Bagdad ho ya Delhi via Agra


DILLIWALI GIRLFRIEND.. Sung by Arijit Singh, Sunidhi Chauhan.. Lyrics by Kumaar..

Tere liye hi toh signal tod taad ke
Aaya dilliwali girlfriend chhod chhad ke
O teri ankh da ishaara mujhe fraud lage
Tu toh Majnu aawaara by God lage
O kasme waade khake apni pocket money bacha ke
Aaya tere liye paise waise jod jaad ke..
Ghar waalon ko bhi bye-shye bol baal ke
Aaya dilliwali girlfriend chhod chhad ke
Tere liye hi toh signal tod taad ke
Aaya Dilli wali girlfriend chhod chhad ke

O what a look, what a grace
Tenu hi karan main chase
What a naksh what a nain
Dil tera ho gaya fan
What a smile, what a style...
Kabhi soft, kabhi rude kinna tera attitude

Teri galli mein bhi aana start kar diya
Ik tere naam apna heart kar diya
Karne laga aankh matakka
Ab toh aashiq ban gaya pakka

Aaj abhi maine tera boycott kar diya
Teri saari harqatein main toh note karu
Tujhe thaane mein le jaake main report karu oye

Tu na kar aise fight
Tera mood main karu light
Tujhe scene mein dikha ke golmaal ke

Naam tera hi likhaya maine wedding card pe
Aaya dilliwali girlfriend chhod chhad ke


KABIRA 2.. Sung by Arijit Singh, Harshdeep Kaur.. Lyrics by Amitabh Bhattacharya..

Banno re banno meri chali sasuraal ko
Ankhiyon mein paani de gayi
Duaa mein meethi gud dhaani le gayi

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera yun na ja
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera yun na ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Tooti chaarpai wohi thandi purvaai rasta dekhe
Doodhoon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe

Ho Doodhoon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe

Gudiya ri gudiya tera gudda perdesiya
Jodi aasmani ho gayi
Shagun pe dekho shaad maani ho gayi