Wednesday, January 21, 2009

Two recharging songs...!!!

ALLAH KE BANDHE (WAISA BHI HOTA HAI)... Music by Vishal, Sung by Kailash Kher, Lyrics by Vishal Dadlani

tuta tuta ek parinda aise tuta ke fir jud nahi paya
luta luta kisne usko aise luta ke fir ud nahi paya
girta hua woh asma se aa kar gira zameen par
khabon mein fir bhi baadal hi the woh kehta raha magar
allah ke bandhe hasde allah ke bandhe hasde

hoke apne par hi tho usne tha udna seekha
hoke apne par hi tho
gham ko apne saath mein lele dard bhi tera kam ayega(allah)

tukde tukde ho gaya tha har sapna jab woh tuta
tukde tukde ho gaya tha
bikre tukdon mein allah ki marzi ka manzar payega(allah)


LAREE CHOOTI (EK CHALIS KI LAST LOCAL).. Music by Call The Band, Lyrics & Sung by Xulfi


kehthe hai na jo hotha hai ache ke liye hotha hai.. galat kehthe hai..

kismat ka khel hai sara phirtha tha main awara
ye kya se kya ho gaya
char din ki zindgani har pal ek nayi kahani
kya tha main kya ban gaya

kya hua jo laree choote jeevan ki gadi luti
khab hai toh mujhko na jaga
zindgi ek pal mein saali yu palat gayi hamari
jhut hai toh mujhko na bata

Mumbai sunaa tha yahan aadmi puuri zindagi apni kismet
slow track se fast track lane mein nikaal deta hai
par dhai ghante mein yeh kisko pata tha
aise slow track se fast track par aa jayegi yeh maine kabhi socha nahin tha
Sazaa majaa ban jayegi yeh bhi kabhi socha nahin tha
Last local kya chuuti saala kismet patri par aa gayi

karlo jo bhi karna hai hotha hai jo hona hai
guzra tho pal ye fir na ayega
kya bura kya bhala hai waqt hi shayad khuda hai
ho jane do fir dekha jayega(kya hua)

Woh kehte hai na jo hota hai
acchey ke liye hota hai…

Sahi kehte hai

No comments:

Post a Comment