Friday, December 18, 2009

3 Idiots.. Music by Shantanu Moitra.. Lyrics by Swanand Kirkire..


ZOOBI DOOBI.. Sung by Sonu Nigam, Shreya Ghoshal..

Gungunati hain yeh hawayein
Gungunata hai gagan
Gaa raha hai yeh saara aalam

Zoobi doobi zoobi doobi pum paara
Zoobi doobi param pum
Zoobi doobi zoobi doobi naache kyun
Paagal stupid mann

Shaakhon pe pattey gaa rahe hain
Phoolon pe bhanvre gaa rahe
Deewani kirine gaa rahi hain
Yeh panchhi gaa rahe
Bagiya mein do phoolon ki
Ho rahi hai guft-gu
Jaisa filmon mein hota hai
Ho raha hai hu-bahoo

Rimjhim rimjhim rimjhim
San san san san hawaa
Tip tip tip tip boondein
Gurrati bijliyaan
Bheegi bheegi saree mein
Yun thumke lagati tu
Jaisa filmon mein hota hai
Ho raha hai hu bahoo

Amber ka chand zameen par
Itra ke gaa raha
Ek tim tim toota tara
Ithla ka gaa raha
Hai raat akeli tanha
Mujhe choo le aake tu
Jaisa filmon mein hota hai
Ho raha hai hubahoo


ALL IZZ WELL.. Sung by Sonu Nigam, Shaan, Swanand Kirkire..

Jab life ho out of control
Honthon ko kar ke gol
Honthon ki kar ke gol
Seeti bajaa ke bol

Aal izzz well!!!!

Murgi kya jaane aande ka kya hoga
Aree life milegi ya tawee pe fry hoga
Koi na jaane apna future kya hoga?

Honth ghuma seeti bajaa
Seeti bajaa ke bol
Bhaiyaa aal izz well

Aree bhaiyaa aal izz well
Aree chachu aal izz well
Aree bhaiyaa aal izz well

Confusuin hi confusion hai
Solution kuch pata nahin
Solution jo mile to saala
Question kya tha pata nahin

Dil jo tera baat baat pe ghabraaye
Dil pe rakhke haath usae tu fuslaa le
Dil idiot hai pyaar se usko samjha le

Scholarship ki pi gayaa daaru
Ghum to phir bhi mitaa nahin
Agarbattiyan raakh ho gayi
God to phir bhi dikha nahi

Bakra kya jaan uski jaan ka kya hoga?
Seekh ghusegi ya saala kheema hoga
Koi na jaane apna future kya hoga


GIVE ME SOME SUNSHINE.. Sung by Sharman Joshi, Suraj Jagan..

Saari Umar Hum
Mar Mar ke jee liye
Ek pal to ab hume
Jeene Do Jeene do

Give me some Sunshine
give me some rain
Give me another chance
wana grow up once again

Kandhon ko kitabon
Ke bojh ne jhukaya
Rishvat dena to khud
Papa ne sikhya
99% marks laaoge to
ghadi varna chadi
Likh likh pada
hatheli par
Alpha beta gamma ka chaala
Concentrated H2so4
Ne Poora Poora bachpan jala daala

Bachpan to gaya
Jawani bhi gayi
Ek pal To ab humein
Jeen Do jeene do


JAANE NAHIN DENGE TUJHE.. Sung by Sonu Nigam..

Jaane nahin denge tujhe
Jaane tujhe denge nahin
Chahe tujhko rab bulaa le
Hum na rab se darne waale
Raahon mein dat ke
Khade hain hum Yaaron se nazrein Chura le
Chahe jitna dum laage le

Jaane na tujhko aise denge hum

Jaane nahin denge tujhe
Jaane tujhe denge nahin
Do kadam ka yeh safar hai
Umr chhoti si dagar hai
Ek kadam mein ladkhadaya
Kyon
Sunn le yaaron ki yeh baatein
Beetengi sab gum ki raatin
Yaaron se rootha hai saaale
Kyunn

Maa ne khat mein kya likhaa Tha
Jiye tu jug jug yeh kahaa tha
Chaar pal bhi jee na paaye tu
Yaaron se nazrein milaa le
Ek baar tu muskura de
uth ja saale yun sataaata hai
Kyonn


BEHTI HAWA SA THA WOH.. Sung by Shaan, Shantanu Moitra..

Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
Hum o to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta, sambhalta, masti mein chalta tha woh

Hum ko kal ki fikar sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh

Kahan se aaya tha woh
Chhoo ke humare dil ko
Kahan gaya usae dhoondo

Sulagti dhoop mein chhaaon ke jaisa
Raegistaan mein gaaon ke jaisa
Mann ke ghaav pe marham
Jaisa tha woh
Hum sahme se rehte koovein mein
Woh nadiya mein gotae lagata
Ulti dhara cheer ke tairta tha woh

Baadal awara tha woh
Yaar humara tha woh

No comments:

Post a Comment